Saturday 18 May 2013

abhimaan.....

Tm itne hi pathardil kaise ho sakte ho
Har waqt is bhautikta ki trf kyu bhagte rehte ho
Abhimaan kis baat ka h tmhe
Har pal bus apna hi schte rehte ho
Sare naitik mulya to jaise bhula hi diye h tmne
Or khte ho inke sahare jindagi nhi katti

Ye kh k Kya saabit kr rhe ho
Bus vyarht hi duniya me jee rhe ho

Tmhari ye soch tmhe patan ki oor le ja rhi h
Tmhari chamta k vipreet tmhara hanan kr rhi h

Pta nhi tm kis mad me aake Aisa kr rhe ho
Sare ristey Yu hi bisaar rhe ho

Ye swarth ne kaha se janam le liya h tmhare bheetar
Ye undar hi undar se chalni kr dega tmhe

Tm koi cheej smjhna hi nhi nhi chahte ho
Apni baat ko hi shresth saabit krna chahte ho

Khud visvaas krte nhi kisi par
Or dusro se visvaas chahte ho
Tm ek laxya se bhatke hue Rahi ho
Jo apni hi dhun me sab bigad rhe ho

Tm har cheej ko apne tareeke se dhaalna chahte ho
Duniya ko apne dhang se chalana chahte ho

Par abhi b kuch to insaniyat bacchi hi h logo me
Kuch aansu gairo k liye b h logo me

Tm kaha tak ye swarth ka naquab oodoge
Is duniya se aakhir kb tak bhagoge


Thursday 16 May 2013

duriya....

ye tere aas Pass hone par b ye duriya kaisi
ye duriya h sayad vicharo ki
ye duriya h sayad mansikta ki
ye duriya h tere vahem ki

unmukta k aakash me udna chahta h ye man
tera bus isme ek sath chahta h ye man
par in duriyo ko Tu bdava kyu de rha h
kyu tathakathit khokhle vicharo se bhr nhi aa pa rha
sath chalne me itni hi preshani h
to kyu hi juth ka darpan dikha rha h tu


andhkaar me hi jee lo tm ab or Kya kahe hm
teri in bekar bato se aahat ho chuka h ye dil
door to tm pehle b the;par tab ye duriya aisi na thi
vo duriya kuch najdikiyo ka ehsaas dilati thi
par aj ki najdikiya jaise andar andar mujhe kaat rhi h

ab bus ye najdikiya mujhse bardast nhi hoti
mujhe vhi duriya chahiye vhi duriya..
jin duriyo me maine khul k apne app ko
is bhautikta se pare paya tha
is chajchlta se mukt paya tha
is jeevan k Saar ko samj paya tha....